Friday, July 9, 2010

AJAB KAHANI

Roz tut te sapne,
roz ruthte apne;
har jagah chhaee hui ajeeb si veerani hai,
yeh ajab sa kissa- kya, yeh meri kahaani hai?

har waqt lehron si karvat badalti zindagi,
har waqt kamzor padti iss jahan ke liye meri bandagi;
haste-2 kyun behta aankhon se paani hai,
yeh ajab sa kissa- kya, yeh meri kahaani hai?

har raat ke baad aata ek naya savera,
ek alag se kal se janam leta aaj mera;
kabhi-2 dheemi, par fir bhi chalti zindagi ki ravaani hai,
ye ankaha kissa- haan yeh meri kahaani hai.


I felt lost, i felt abandoned and i thought , is this MY life. but next morning i was ready again to fall in love with me and life.
Aditi
5/07/2010